Friday 21 March 2008

Jab Yaad Mujhe Koi...

Kai baar hamare dil mein umadte hue vichaar hamein kuchh likhne ke liye majboor kar dete hain. Aise hi jab mere dil mein bhi kuchh aaya to kalam chal padi aur kagaz pe ye panktiyaan ubhar aayi...



Gumsum si andheri raaton mein,
jab yaad mujhe koi aata hai,
Mere dil ka panchhi akele mein,
kuchh door tab udke jata hai,
Milta nahin usko jab koi,
woh laut ke wapis aata hai.

Gumsum si andheri raaton mein,
jab yaad mujhe koi aata hai...

Shabnam ke yeh moti aankhon mein,
mere aansoo banke utarte hain,
Tab saath usi ka pane ko,
mera dil bhi tadap sa jata hai,

Gumsum si andheri raaton mein,
jab yaad mujhe koi aata hai...

Hogi kya shikayat mujhse use,
kis baat ka gussa dil mein hai,
Woh mere samne se phir kyun,
chupchaap gujar sa jata hai,

Gumsum si andheri raaton mein,
jab yaad mujhe koi aata hai...

Mere pyar ka pahla ankur woh,
mere pyar ki aakhiri daali hai,
phir ijhar-e-muhabbat karne se,
kyun dil ghabra sa jata hai

Gumsum si andheri raaton mein,
jab yaad mujhe koi aata hai...

Friday 14 March 2008

Maan...   ...Nida Fazli

Besan ki sondhi roti par,
khatti chatni jaisi maan.
Yaad aati hai chaukaa-baasan,
chimataa phookani jaisi maan.

Baans ki tooti khaat ke oopar,
har aahat par kaan dhare,
aadhi soi aadhi jaagi,
thaki dopahari jaisi maan.

Chidiyon ke chahkaar mein goonjeinn
radha-mohan ali-ali,
murge ki awaaz se khulti,
ghar ki kundi jaisi maan.

Biwi, beti, bahan, padosan,
thodi thodi si sab mein
din bhar ik rassi ke oopar
chalti natni jaisi maan.

Baant ke apna chehra, matha,
aankhein jaane kahan gayi,
phate poorane ik album mein,
chanchal ladki jaisi maan.

Mere ghar ka kachchaa...    ...Parveen Shakir

Khuli ankhon mein sapna jagtaa hai,
Woh soya hai ki, kuchh kuchh jagtaa hai?

Teri chahat ke bheege jangalon mein,
Meraa tan mor ban ke nachtaa hai.

Mujhe har kaifiyat mein kyon na samjhe!
Woh mere sab havale jantaa hai.

Kisi ke dhyaan mein dooba hua dil,
Bahane se mujhe bhi taltaa hai.

Sadak ko chhod kar chalnaa padega,
Ki mere ghar ka kachchaa raastaa hai.

Sota hoga mera chaand...    ...Parveen Shakir

Poora dukh aur adhaa chaand,
Hijr ki shab aur aisa chaand.

Itne ghane badal ke peechhe,
Kitna tanhaa hoga chaand.

Meri karvat par jaag uthe,
Neend ka kitna kachcha chaand.

Sehra sehra bhatak raha hai,
Apne ishq mein sachcha chaand.

Raat ke shayad ek baje hain,
Sota hoga mera chaand.

Wednesday 12 March 2008

Kadam kadam pe mera dil...

Kadam kadam pe mera dil jhijhakta kyon hai?
Padi hai barf, shahar sulagta kyon hai?

Aur bhi log mere aas paas rahte hain,
Hadsa sirf mere sar se gujarta kyon hai?

Kadam kadam pe mera dil...

Hukumaton aur hakimon, jawaab do mujhe,
Aaye din shahar ka mahol bigadta kyon hai?

Kadam kada pe mera dil...

Main to kayal hoon sirf dosti aur pyar ka,
Khamkha sa mere koi ulajhta kyon hai?

Kadam kadam pe mera dil jhijhakta kyon hai?
Padi hai barf, shahar sulagta kyon hai?

Kadam kadam pe mera dil...