Sunday 12 April 2009

For my classmates and all juniors...

For my sweet juniors...

Mere pyare pyare bachchon ki, ya rabba khair rakhe rakhna,
Hai mera aashirvaad inhe, tu uski laaz rakhe rakhna.

Zindagi yun meri viran na thi, par soonaapan bhi kam na tha,
Kuchh log to mere pane bhi the, to apnaapan bhi kam na tha.
Par inse mujhko jo hai mila, main usko bayaan kar nahi pata,
Mere liye inke dil mein izzat aur pyar bhi kam na tha.
Is izzat aur pyar ko tu, ya rabba yunhi rakhe rakhna.

Mere pyare pyare bachchon ki, ya rabba khair rakhe rakhna,
Hai mera aashirvaad inhe, tu uski laaz rakhe rakhna.

Waise to inko koi bhi kabhi, dukh zindagi mein tu na dena,
Aaye bhi gar jab aansu koi, tu meri taraf sarka dena.
Inse badhkar mujhko koi, aaj ke din hai pyara nahin,
Mera poora pyar inko hi mile, tu mujhko itna haq dena.
Chahe meri zindagi mein tu, Kaanto bhari raah rakhe rakhna.

Mere nanhe pari-farishton ki, ya rabba khair rakhe rakhna,
Hai mera aashirvaad inhe, tu uski laaz rakhe rakhna.

For my classmates...

Sangi sathi to bahut mile, par in jaisa koi na mila,
Waise to log hazaar mile, par in jaisa koi na mila.
Hai inse mujhko pyar bahut, aur kitni izzat dil mein hai,
Mujhe itni mohabbat ka, Pahle koi haqdaar na mila.
Inko meri zindagi mein tu, ya rabba yunhi rakhe rakhna.

Mere pyare se in doston ki, ya rabba khair rakhe rakhna,
Hai meri har dua inke liye, tu unki laaz rakhe rakhna.

Mere har ek aansu ko inhone, apne hi aansu sa samjha,
Meri har ek dikkat ko inhone, apni hi rukaawat sa samjha.
Har kadam pe mere saath chale, mujhko na akela rehne diya,
Meri har ek khushi ke pal ko bhi, inhone apna sa samjha.
Mere liye inke dil mein bas, thodi si jagah rakhe rakhna.

Mere pyare se in doston ki, ya rabba khair rakhe rakhna,
Hai meri har dua inke liye, tu unki laaz rakhe rakhna.