Friday 8 May 2009

A nice song from movie Raincoat...


Piya Tora Kaisa Abhimaan,
Piya Tora Kaisa Abhimaan

Kisi Mausam Ka Jhaunka Tha,
Jo Is Deewar Par Latki Hui Tasveer Tirchhi Kar Gaya Hai,
Gaye Sawaan Mein Ye Deewarein Yun Seeli Nahin Thi,
Na Jaane Is Dafa Kyun Inmein Seelan Aa Gayi Hai,
Darare Pad Gaye Hai.
Aur Seelan Is Tarha Baithti Hai,
Jaise Khushk Rukhsaroon Pe Geele Aansu Chalte Hain


Saghan Sawaan Laayi Kadam Bahar,
Mathura Se Doli Laaye Chaaron Kahaar.
Nahin Aaye,
Nahin Aaye,
Kesariya Balma Hamaar.
Angana Bada Sunsaan,

Ye Baarish Gungunati Thi,
Isi Chhat Ki Munderon Par.
Ye Baarish Gungunaati Thi,
Isi Chhat Ki Mundero Par.
Ye Ghar Ki Khidkiyon Ke Kaanch Par Ungli Se Likh Jaati Thi Sandese,
Bilakhti Rahti Hai Baithi Hui,
Ab Band Roshandanon Ke Peeche.


Apne Nayan Se Neer Bahaye,
Apni Jamuna Khud Aap Hi Banave.
Apne Nayan Se Neer Bahaye,
Apni Jamuna Khud Aap Hi Banave.

Dupaharein Aisi Lagti Hain,
Bina Moharon Ke Khaali Khaane Rakhe Hain.
Na Koi Khelne Wala Hai Baazi,
Aur Na Koi Chaal Chalta Hai.


Laakh Baar Usmein Hi Nahaye,
Pura Na Hui Asnaan,
Phir Pura Na Hui Asnaan.
Sukhe Kesh, Roothe Bhesh, Manva Bejaan.

Na Din Hota Hai, Na Ab Raat Hoti Hai,
Sabhi Kuch Ruk Gaya Hai.
Woh Kya Mausam Ka Jhonka Tha Jo,
Is Deewar Par Latki Hui Tasveer Tirchi Kar Gaya Hai.


Piya Tora Kaisa Abhimaa,
Tora....
Piya Tora....
Tora Tora....
Kaisa Abhimaan.
Piya Tora Tora Tora.... Kaisa Abhimaan.....

Thursday 7 May 2009

Ek Adhoori Kavita....

I am writing this poem but this not complete. I want someone special, who once wrote for me and is my blog follower, to complete this poem by adding few more lines to it.

Pata nahin kyon, ek dhundhlapan sa vatavaran ka,
jo shayad meri nazar mein hi hai,
Ya pata nahin sachmuch ka hai?
Mujhe kshitij ko dekhne se rokta hai.
Mere vichaaron ki udaan ko ek daayre mein rokta hai.

Maanjhi ne koshish to poori ki,
Aur kamyaab bhi hua,
Naav paar lagaane mein.
Mujhe manjil tak pahunchaane mein,
Par khud maanji ki manjil abhi door padi hai,
Khud naav hi uski, raste mein uske deewar ban ke khadi hai.