Sunday, 29 May 2011

Badal gayi dilli ya badal gaye hum...

        Dilli aane se pehle maine bhi socha ki pata nahin ab wahan kaisa lagega. Jo main soch raha tha kuchh waisa hi hua bhi. Sab kuchh badla hua sa laga. Sheher, galiyan, log aur mahual, sab kuchh ek naye se rang mein range hue ya pata nahin ek naya hi mukhauta pahne hue. Har taraf naye chehre ya purane chehron par naye bhaav. Mitti se ek nayi si boo, sadkon par ek nayi si raunak, bazaar mein ek nayi si chahal pahal. Sab kuchh badal gaya tha ya purana hote hue bhi mujhe naya hone ka bhram de raha tha.
        Kyunki dilli aane ka nischay bhi ek aakhiri kshan hua tha to maine ghar bhi nahin bataya tha. Aisa nahin hai ki mere paas itna waqt hi nahin tha, asal mein mera ghar jane ka bilkul bhi man nahin tha. Socha ki hostel mein hi raha jaye, par pata nahin kyun har roz yahi khayal dimag mein aata rehta tha ki asal jagah mere rehne ki jahan main kisi bhi roop mein baadhy nahin hoon, woh to sirf iiit ka mera room hai. Hostel mein doston ke room, doston ke flat, didi ka ghar aur yahan tak khud apna ghar bhi pata nahin kyon chutki bhar apnapan bhi mere andar nahin dhakel paye the. Jab iiit mein tha to lag raha tha ki kya karunga yahan rehke so dilli aa gaya, par ab dilli mein aake bhi main ghut raha tha to laga ki kash Hyderabad hi reh jata aur yeh paraya hone ke bojh tale to na aata.
        Asal mein kuchh bahut hi kareebi dost aur kuchh pyare se bachchon ne to itna bola tha apne sath rehne ko par jab dil hi na mane to aadmi kya kar sakta tha. Ek hafta bhar intezaar ke baad jab yeh kuchh had tak nishit ho gaya hai ki kya nahin karna hai to bhi dil ko tasalli nahin mil payi. Bas aise hi akele mein baithe baithe ek nazm si dimag mein utar aayi...

Pahuncha yahan to laga har road badla sa,
Laga har gali ka har ek mod badla sa,

Laga har din yahan badla sa, lagi har raat badli si,
Lagi har ek shakhsh ki har ek baat badli si,

Shehar ke log badle se, tha unka shor badla sa,
Yamuna jo behti hai, laga uska chhor badla sa,

Raunak thi badli si aur tha bazaar badla sa,
Apne parayon ka laga vyavahar badla sa,

Lagi dosti ajnabi si, aur woh yaar badla sa,
Bas ek hi to tha, tha woh bhi pyar badla sa,

Badle se is shehar ki roshni mein chundhiya gaye hum,
Pata nahin ki badal gayi dilli ya badal gaye hum...

Sunday, 1 May 2011

Dil ke mahal mein....

Dil ke mahal mein ek kamra apna bhi rakh 'Ghalib',
Dukh mein jahan ro sake aur sukh mein so sake.

Darwaaza-e-Dil na khol sabke liye,
Aisa na ho ki us bheed mein tu tanha na ho sake.

Shor is duniya ka jeene nahin dega tujhe,
Khamoshi bhi itni si rakh ki khud mein kho sake.

Duniya mein dushman to tujhe milenge anginat,
Dost koi aisa dhoondh jo jakhmon ko dho sake.

Dil ke mahal mein ek kamra apna bhi rakh 'Ghalib',
Dukh mein jahan ro sake aur sukh mein so sake......